| | | Description | Film name: hasina maan jaayegi
year: 1968
singer(s) mohd rafi and lata mangeshkar
lyricist: akhtar romani
musician(s): kalyanji anandji
----------lyrics----------
lata: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
rafi: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam (2)
aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
lata: ho ho ho bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
rafi: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
lata: aag yeh kaisi man mein lagi hai
man se badhi to tan mein lagi hai
rafi: aag nahin yeh dil ki lagi hai
jitni bujhaayi utni jali hai
lata: dil ki lagi na ho to kya zindagi hai
saath hum jo chale mit gaye faasle
rafi: aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
both: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
rafi: khoyi nazar thi soye nazaare
dekha tumhe to jaage yeh saare
lata: dil ne kiye jo dil ko ishaare
milke chale hum saath tumhaare
rafi: aaj khushi se mera dil yeh pukaare
tera daaman mila pyaar mera khila
lata: aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
both: bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
lata: dil ki kahaani pohchi subaan tak
kissko khabar ab pohche kahaan tak
rafi: pyaar ke raahi aaye yahaan tak
jaayenge dil ki hadh hai jahaan tak
lata: tum saath do to chale hum aasmaan tak
dil mein armaan liye laakh toofaan liye
both: aa gaye, aa gaye, aa gaye paas hum
aa gaye paas hum
bekhudi mein sanam uth gaye jo kadam
| | Tags : Be, khudi, maan, sanam, mohd, rafi, asim306, bollywood, ever, green, classic, age, old, is, gold, legend |
|